Kuch Pal
Written by Anurag Bhateja on March 26, 2010 – 8:29 am -आज मैं सोना चाहता हूँ…
तेरी गोद में सर रख कर…
तेरे आँचल के साये में कुछ पल जीना चाहता हूँ…
बहुत जी लिया तेरी यादों के साए में…
उन साथ बिताये पलों को भूल आज मैं फिर से तेरे साथ जीना चाहता हूँ…
तेरे आगोश में छुप कर, कुछ पल आंखें बंद कर…
तुझे महसूस करना चाहता हूँ…
आज मैं कुछ पल सोना चाहता हूँ…
Posted in Poems By Me | 2 Comments »
Ae Dost
Written by Anurag Bhateja on January 7, 2009 – 1:34 pm -Ae Dost
Teri ankhon mein kho jane ko dil karta hai
Teri hasi mein beh jane ko dil karta hai
Har pal main teri baton ko yaad karta hun
Tere sath rahe palon ko jeene ki koshish karta hun
Dosti ka ehsas kya hota hai tune mujhe fir se batla diya
Ankhon hi ankhon mein sath hone ka ehsaas dila diya
mujhe yaad hai woh pal jab tu mujhe pehli baar mili thi
Teri muskaan mein 100 batein chupi mili thi
Na jaane kyun us pal mein tera kayal main ho gaya tha
Tere har paigam ko dil se lagane ko tatpar ho gaya tha
Dost ban kar zindagi k har ko mehkana bhi teri ik ada hai
Tu hamesha mere kareeb rahe bas rabb se meri yehi dua hai…
Tags: Friend, Friendship, Hndi poem, poem, poem by anurag bhateja, Poetry
Posted in Poems By Me | 2 Comments »
NAUMEED
Written by Anurag Bhateja on September 8, 2008 – 8:00 am -is tarah woh chali jayegi
yeh umeed na thi
aisa wada le jayegi
yeh umeed na thi
jate jate is dil ko rula gayee
apni zindagi mujhe jine ko keh gayee
han main uske liye jiyunga
uska har khwab main poora karunga
umeed karta hun ki maut ke
uske sath phir se is zammen ko aabad karunga
Posted in Poems By Me | 2 Comments »

